Lyrics into Song 가사 생성기 가격 내 노래

Dekho waqt

Song generated By ✨LyricsintoSong.com

Song Cover
v1

@ RAHUL BABBAR

2026-05-22 21:26:09

가사

[Intro]

Dekho waqt kaise khel dikhaata hai,
Apna hi apne ko aazmaata hai।
Par jo insaan aandhiyon mein sambhal jaaye,
Usse giraane waala khud bikhar jaata hai।


---

[Hook]

Dekho dekho kaun ghabraaya hai,
Jisko giraana tha woh laut aaya hai।
Main apne pairon pe aaj bhi khada hoon,
Aag mein jalke aur bada hoon।


---

[Verse 1]

Jindagi ne sikhaya hai kaun apna paraaya hai,
Saath dene waalo ko salaam, baaki sab tamaasha hai।
Mai bikhra nahi jo tumne chaha tha,
Mai sambhla wahan jahan sabne chhoda tha।

Maine har dhokhe ko chup chaap seh liya,
Andar ke tufaan ko aankhon mein rehne diya।
Tez aandhiyon mein bargad ki tarah khada hoon,
Jad meri gehri hai tabhi abhi tak bada hoon।

Na koi tod saka, na koi gira saka,
Jisko uparwala thaame use kaun hila saka।
Mujhe giraane waale khud toot gaye raaston mein,
Main chalta raha akela andheri raaton mein।


---

[Pre Hook]

Mera karam mera khuda jaanta hai,
Tabhi har bala ko mujhse hataata hai।
Jo naam ke apne they unhe kaat diya,
Dil saaf rakha bas bharosa baant diya।


---

[Hook]

Dekho dekho waqt bataaya hai,
Asli chehra sabka saamne aaya hai।
Jinhone socha tha toot jaaunga,
Unke saamne pahaad ban ke khada hoon।


---

[Rap – Rishii]

Rishii naam yaad rakh, awaaz nahi aandhi hoon,
Jitna dabaya gaya utna hi zyaada zinda hoon।
Maine woh din dekhe jahan apne bhi paraye they,
Muh pe wafadaar, peeche saare vyaapaari they।

Har kisi ko meri haar ka intezaar tha,
Par mere andar alag hi aag ka sansaar tha।
Main gira zaroor par bikhar kabhi nahi,
Dard andar tha par chehre pe dikha kabhi nahi।

Ab main badla nahi bas samajhdaar ho gaya,
Khud ke liye jeena bhi ek kala ho gaya।
Jo mujhe giraane nikle they bheed lekar,
Aaj wahi log mera naam sunke side hote hain dar kar।

Insaan ka asli chehra waqt dikhaata hai,
Muh pe pyaar aur peeche zeher pilaata hai।
Par sher kabhi jawaab nahi deta pattharon ko,
Kyuki waqt khud sabak sikha deta hai gaddaaron ko।

Maine woh raat bhi dekhi jahan aansu chupane padde,
Apne hi apno ke liye chehre badalne padde।
Har baar toot ke bhi khudko sambhala maine,
Andar ke shor ko khaamoshi mein paala maine।

Main mitti ka zaroor hoon par halka nahi,
Mujhe giraane ka sapna itna aasaan nahi।
Jad meri gehri hai tabhi aandhiyon mein khada hoon,
Main aaj bhi apne hi dum pe bada hoon।


---

[Bridge]

Khamosh tha main iska matlab hara nahi,
Andar se toota tha par mara nahi।
Mitti ka bana hoon mitti mein milunga,
Par girke har dafa aur mazboot uthunga।


---

[Final Hook]

Dekho dekho kaun ghabraaya hai,
Jisko giraana tha woh laut aaya hai।
Main apne pairon pe aaj bhi khada hoon,
Toofan ke baad aur bada hoon।


---

[Ending Shayari]

Kisi ko giraane se pehle ek baat yaad rakhna…
Agar insaan dard mein sambhalna seekh jaaye,
Toh phir usse giraana nahi,
Sirf dekhte reh jaana padta hai।

“Jad mazboot ho toh aandhiyaan sirf shor karti hain…
Gira nahi sakti…”

음악 스타일

Bollywood, Hip Hop, Cinematic, Relaxing, Motivational, Romantic, Male Vocals, Spoken Word, Bass, Violin, Piano, Flute, Synth